Mehendi Wale Haath Lyrics by Guru Randhawa is Latest Hindi song sung by Guru Randhawa and this brand new song is featuring Sanjana Sanghi. music given by Sachet-Parampra and video is directed by Arvinder Khaira. Mehndi Wale Hath song lyrics are penned down by Sayeed Quadri.
Mehendi Wale Haath Song Details:
Song – “Mehendi Wale Haath”
Singer – Guru Randhawa
Music Director – Sachet-Parampara
Lyrics – Sayeed Quadri
Featuring – Guru Randhawa, Sanjana Sanghi
Label- T-Series
Mehendi Wale Haath Song |Guru Randhawa
MEHENDI WALE HAATH LYRICS
Mehendi wale haath woh tere
Paayal wale paanv
Mehandi wale haath woh tere
Paayal wale paanv
Yaad bahut aate hain mujhko
Tu aur apna gaanv
Kacchi pagdandi ke raste
Aur neem ki chhanv
Kacchi pagdandi ke raste
Aur neem ki chhanv
Yaad bahut aate hain mujhko
Tu aur apna gaanv
Mehendi wale haath
Gaanv ka woh talaab
Jahan har roz mila karta tha
Baatein karte karte
Teri choodi bhi ginta tha
Teri bholi baatein sunkar
Aksar main hansta tha
Yaad unhein ab bhi karta hun
Shehar mein subah shaam
Yaad unhein ab bhi karta hun
Shehar mein subah shaam
Yaad bahut aate hain mujhko
Tu aur apna gaanv
Mehendi wale haath
Ho mehandi wale haath
Ho..
Ho..
Kya tune ab bhi rakhe hain
Prem ke woh sandesh
Patthar baandh ke chhat par
Teri deta tha jo phenk
Yaad mujhe karta hai
Kya tu ab bhi unko dekh
Kya tere honthon ko pata hai
Ab bhi mera naam
Kya tere honthon ko pata hai
Ab bhi mera naam
Yaad bahut aate hain mujhko
Tu aur apna gaanv
Mehendi wale haath woh tere
Paayal wale paanv
Mehandi wale hath woh tere
Paayal wale paanv
Yaad bahut aate hain mujhko
Tu aur apna gaanv